Mere khwaabon ki basti ka soonapan door ho jayega
tere chhoone se mera khwaabgaah mashhoor ho jayega
Jin raaston se hum wakif thhe , wo nazar ate hi nahin
tu saath chale to nayi raah ka patthar kohinoor ho jayega
Ummeed ka daaman nahin chhoda hai maine abhi tak
tu bhi sahra paar jane ke liye majboor ho jayega
Kahan socha tha hamne jab mohabbat ka izhaar kiya tha
ki jannat-e- ishq mein gum hona kasoor ho jayega
Paak mohabbat ki dua mein ek ajeeb si kashish hai
meri bekasi ka aalam aaj zaroor benoor ho jayega
_______________________________________________
मेरे ख़्वाबों की बस्ती का सूनापन दूर हो जायेगा
तेरे छूने से मेरा ख़्वाबगाह मशहूर हो जायेगा
जिन रास्तों से हम वाकिफ थे , वो नज़र आते ही नहीं
तू साथ चले तो नई राह का पत्थर कोहीनूर हो जायेगा
उम्मीद का दामन नहीं छोड़ा है मैंने अभी तक
तू भी सहरा पार जाने के लिये मजबूर हो जायेगा
कहाँ सोचा था हमने जब मोहब्बत का इज़हार किया था
कि जन्नत-ए-इश्क में गुम होना कसूर हो जायेगा
पाक मोहब्बत की दुआ में एक अजीब सी कशिश है
मेरी बेकसी का आलम आज ज़रूर बेनूर हो जायेगा
gehra bhaw liye behad khoobsurat panktiyan,
ReplyDelete