Saturday, August 25, 2012

JEEVAN / जीवन ................

Tum kaun ho?
Maun swabhav
koi aahat nahin
koi parchhai nahin

Chehra kaisa hai tumhara?
Vichalit kar jate ho
man-mastishk par raj karte ho
kabhi angar ho
kabhi kante jaisi chubhan
kabhi jharne ki sheetalta
kabhi thand ki makhmali dhoop
koi aahat nahin
koi parchhai nahin

Jab lakirein aspasht thi hathon ki
diya tha tumhe bhent swaroop
sunder aavaran mein lipti ek kitaab
hazaron lakhon panne
har panne par nayi kahani
har panne ka alag rang
sooraj chaand taron ki nagri
sapno ki badi si tokri
ek athah sagar prem ka
ek mantra jeevan-yuddh ka

Tum 'jeevan' ho.
Maun swabhav
koi aahat nahin
koi parchhai nahin................







तुम कौन हो?
मौन स्वभाव
कोई आहट नहीं
कोई परछाई नहीं

चेहरा कैसा है तुम्हारा ?
विचलित कर जाते हो
मन-मस्तिष्क पर राज करते हो
कभी अंगार हो
कभी काँटे जैसी चुभन
कभी झरने की शीतलता
कभी ठंड की मखमली धूप
कोई आहट नहीं
कोई परछाई नहीं

जब लकीरें अस्पष्ट थी हाथों की
दिया था तुम्हें भेंट-स्वरूप
सुंदर आवरण में लिपटी एक किताब
हज़ारों लाखों पन्ने
हर पन्ने पर नई कहानी
हर पन्ने का अलग रंग
सूरज चाँद तारों की नगरी
सपनों की बड़ी सी टोकरी
एक अथाह सागर प्रेम का
एक मंत्र जीवन-युद्ध का

तुम 'जीवन' हो
मौन स्वभाव
कोई आहट  नहीं
कोई परछाई नहीं................

pic-www.marcandangel.com 

3 comments:

  1. सुन्दर प्रस्तुति की बधाई !

    ReplyDelete
  2. Na mein yae chehra hoon
    Na maun swabhav
    Aangare mere vastre hain
    Aur kaante mujhse pyar
    Jharne mere kanth hein
    Yae kya maast lagau
    Har panne par
    Daudta hai
    Is kalam ke naach

    Ab suno mein kaun hoon
    Dil ke mere yae awaaz
    Hriday hoon mein
    Sirf ek dhadkan
    Swas hai mere pehchaan
    Ek hi mudra is shareer mein
    Pyar se isko pala
    Jab tak daudta
    Is deha mein
    Sirf swas hain mere pehchaan-




    ReplyDelete